Album Name | Gateway Of India |
Artist | Madan Mohan |
Track Name | Na Hanso Hampe |
Music | Madan Mohan |
Label | Saregama |
Release Year | 1957 |
Duration | 03:34 |
Release Date | 1957-01-01 |
Na Hanso Hampe Lyrics
naa hanso hum pe zamaane ke hain thukraae hue
dar-ba-dar firte hain, taqadeer ke bahakaae hue

kya bataaen tumhein, kal hum bhee chaman waale the

ye naa pucho ki hai viraane mein kyun aaye hue
naa hanso hum pe zamaane ke hain thukraae hue
baath kal kee hai ki phulon ko masal dete the

aaj kaanton ko bhee seene se hain lipataae hue
naa hanso hum pe zamaane ke hain thukraae hue
aisee gardish mein naa daale kabhi qismat tum ko

aap ke saamane jis haal mein hain aaye hue
naa hanso hum pe zamaane ke hain thukraae hue
ek din phir vahee pehlee see bahaaren hongee

isi ummid se hum dil ko hain bahalaaye hue