Album Name | The Genius Of Talat Mahmood |
Artist | Various Artists |
Track Name | Berahem Aasman Meri Manzil Bata |
Music | Madan Mohan |
Label | Saregama |
Release Year | 1952 |
Duration | 03:10 |
Release Date | 1952-12-31 |
Berahem Aasman Meri Manzil Bata Lyrics
beraham aasamaan meri manzil bataa hai kahaan
beraham aasamaan
jo na sochaa tha vo ho gaya
kyun naseeba mera so gaya
gam kee aisee ghata chha gayi
chain dil ka kaheen kho gaya
ye bataa, kis liye
le raha hai mera imtehaan
beraham aasamaan
bujh gaya hai ye dil is tarah
chaand pichley pehar jis tarah
itanee tarikiyon mein bataa
raah dhundhe koyi kis tarah
kho gayin, manzilen
ho gaya gum kaheen kaaravaan
beraham aasamaan
jaa rahe hain na jaane kidhar
dekh sakati nahin kuch nazar
chhod dee naav majdhaar mein
kis kinaare lage kya khabar
kya karen door tak
roshni ka nahin hai nishaan
beraham aasamaan meri manzil bataa hai kahaan
beraham aasamaan