Album Name | Hungama |
Artist | C. Ramchandra |
Track Name | Are Yeh Kya Kiya Tune |
Music | C. Ramchandra |
Label | Saregama |
Release Year | 1952 |
Duration | 03:17 |
Release Date | 1952-12-31 |
Are Yeh Kya Kiya Tune Lyrics
tere dar se khushii maangi, magar gam de diya tune
are, ye kya kiya tune? are, ye kya kiya tune?
tere dar se khushii maangi, magar gam de diya tune
are, ye kya kiya tune? are, ye kya kiya tune?
tere qadamon se kithna pyaar karti hain meri galiyaan
ho-ho, meri galiyaan
hilaa kar tod naa denaa kaheen too haath kee kaliyaan
…kaheen too haath kee kaliyaan
qasam hai, jaan de denge agar aisa kiya tune
are, ye kya kiya tune? are, ye kya kiya tune?
tuje ye kya khabar, tujh pe muje kitni mohabbat hai
mohabbat mein muje tujh se bas itanee see shiqaayat hai
rulaane ke liye, zaalim, mera dil kyun liya tune?
are, ye kya kiya tune? are, ye kya kiya tune?
milegaa kya tuje ulfat bhare is dil ko thukraa kar?
tadapate jaayenge hum to agar too khush hai tadapaa kar
…agar too khush hai tadapaa kar
jo tera hai usi dil par sitam kyun kar diya tune?
are, ye kya kiya tune? are, ye kya kiya tune?